Monday, January 4, 2010

zeherilee kavitayien

har roz ki tarah, aaj bhi main ghar se chala,
wohi subah... wohi ujaala,
door se nazar aaya mujhe ek nazara,

dekhne ki chahat lekar, chala main uske nazdeek,
wahan pohonchne se pehle hi mujhe sunaayi di ek zordaar cheeikh,

pohonche par dekha, 2 ladke chilla rahe the,
dard ke maare zor zor se kaarha(pain) rahe the,

maine jaanna chaha, ki unhe kya takleef thi,
kya wo kisi zakhm ki peerha thi,

zakhm to unke badan pe nazar na aaya,
aaya to kewal unki nazaron mein bhara dukh samajh aaya,

dukh tha wo, ki watan kahin mitt na jaaye,
andhere ki raah par kahin kho na jaaye,

kaum ka bharosa kahin sarkar se uth na jaaye,
desh ke badalti soorat pe koi daag na lag jaaye,

main bhi khayalon doob gaya,
socha ki humne angrezo ko nikaal kar kya paya...?,

uth kar dekha to mujhe wahan koi na dikha,
soch soch kar, maine ye manzer likha,

aaj samajh aata hai ki wo koi ladke nahi the,
meri nazar ke aaghosh mein bass mere kuch khayaal the,

kal fir wohi subah or wohi ujala nazar ayega,
lekin kal main wo nazara nahi dekhunga...........

kyunki, kal chutti hai.. or mujhe bhi abhi or sona hai....


No comments:

Post a Comment